Urdu Ghazal
Deti nahi ama'an jo zameen, aasman tou hai
Kehnay ko apny dil se koi daasta'n tou hai
Youn to hai rang zard magar hont laal hain
Sehra ki wusat'on mein kahin gulistaan tou hai
Ek cheel aik mamti pe bethi hai dhoop mein
Galiyan ujarr gae hain magar paasba'n tou hai
Awaz de k dekh lo shayad wo mil hi jaye
Warna ye umr bhar ka safar raa-e-gaa'n tou hai
Mujh se boht qareeb hai to phir bhi ae 'munir'
Parda sa koi mery tery darmiya'n tou hai.
Poet : Munir Niazi