Showing posts with label Bewafa Shayari. Show all posts
Showing posts with label Bewafa Shayari. Show all posts

Monday, 26 November 2012

Meri Wafa Freb Thi, Meri Wafa Pe khaak Daal


Meri Wafa Freb Thi,,, Meri Wafa Pe khaak Daal,,,

Tujh Sa Hi koi Baa'Wafa Tujh ko Mily Khuda kry...

میری وفا فریب تھی، میری وفا پہ خاک ڈال
تُجھ سا ہی کوئی با وفا تجھے مِلے خدا کرے۔

Saturday, 8 September 2012

Umrr Ik Tlkh Haqiqat Hai Doston Phir Bhi


Umrr Ik Tlkh Haqiqat Hai Doston Phir Bhi,,,

Jitne Tum Badle hoo,,, Utna Nahi Badla Jaata...

Maangi Hai Dua Issi Ilteja Ke Saath


Maangi Hai Dua Issi Ilteja Ke Saath,,,

Kat Jaaye Meri Umer Ussi Be-Wafa K saath

Meri Wafa, Teray Sitam


Meri wafa,,, tery sitam,,,

Dono hi lajawab hain...

Jo Mujh Ko chor K


Jo Mujh Ko chor K Takseem Ho Gya Sb Mein,,,

Usi K Wastay Khud Ko Sambhal Rakha Hai...

Sunday, 12 August 2012

Teri is Bewafai py fida hoti hy jaan apni


Teri is Bewafai py fida hoti hy jaan apni
KHUDA jany Tujh Main Wafa hoti to kya hota?

Thursday, 5 January 2012

Wednesday, 23 November 2011

Barishon K Mosam Main-Barish Shayari,

barishon k mousam main............
Waqt ke andheeroon mein
mein ne us se poocha tha
Chorde to na jaoo gay?
Hath thaam ker us ne
kaan mein bola tha
kaisay chorde sakta hoon?
aur aaj aisa hai !!!
Waqt ki tamazat mein
wahshitoon ke mousam mein
mein ne us se poocha hai
chorde ker jana tha?
muskurati ghalioon mein
Aas kion dilaye thi?
payas kion jagaye thi?
mere in sawaloon per
chalte chalte wo bola
Mosamon Ki Aadat Hai
Wakt par badal jaana


Barish Shayari

Wednesday, 5 October 2011

Monday, 3 October 2011

Meri Chahat Ko Apna Tum Bana Lena,,Magar Sun Lay..!

Meri Chahat Ko Apna Tum Bana Lena,,Magar Sun Lay..!
Jo MEra Ho Nahin Paaya, Wo Tera Ho Nahin Sakta...!

Wednesday, 28 September 2011

Eyaadat Rasm-E-Duniya Thi Chaly Aaty To Kiya Hota

Eyaadat Rasm-E-Duniya Thi Chaly Aaty To Kiya Hota,
Tumhary Pooch Leiny Say Na Jee Uthtay Na Mar Jaaty…

Tuesday, 27 September 2011

Hina K Waastay Sakhiyaan Jab Us K Haath Kholaingi

Hina K Waastay Sakhiyaan, Jab Us K Haath Kholaingi
Tou Pehli Baar Wo Sachi Lakeerain Jhoot Bolaingi..!

Wednesday, 21 September 2011

Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Daina

Udaas Tehreer Parh K Meri, Meray Sanam Muskura Na Daina
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Daina

Guzar Rahi Hy Tumhari Kaise Bichhar K Humsay Rula K Humko
Haqeeton Ko Zaroor Likhna Anaa Ki Khaatir Chupa Na Daina

Koi Jo Poochay Kidhar Gya Wo? Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara
Jo Furqaton Ka Sabab Baney They, Kisi Bashar Ko Bata Na Daina

Main Marr Bhi Jaon To Muskurana Ehsas-e-Gham Ki Na Chott Khaana
Jo Qarb-e-Gham Se Nigah’en Bheeg’en Tou Rukh Se Aanchal Hota Na Daina

Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon Main Apni Saari Kahani ‘Mohsin’
Jo Phaar Bhi Do Tou Paas Rakhna Hawa Main Tukray Ura Na Daina....

Seencha Hai Muhabbat Ka Chaman Dil K Lahu Say

Seencha Hai Muhabbat Ka Chaman Dil K Lahu Say,
Ghunchay Meri Umeed K Murjha Nahi Saktay...!

Udaasiyan Tou Meray Ehd Ki Alaamat Hain

Udaasiyan Tou Meray Ehd Ki Alaamat Hain,
Main Hans Parra Tou Nohot Peechay Laut Jaunga.

Ajab Pahailiyaan Hain Ye haath Ki Lakeeron Main

Ajab Pahailiyaan Hain Ye haath Ki Lakeeron Main
Safar likhay Hain Magar Manzil Nahin Likhi

Meray Din Raat Mushkil Main, Sukoon Ik Pal Nahin Mujh Ko

Meray Din Raat Mushkil Main, Sukoon Ik Pal Nahin Mujh Ko
Muhabbat Tarss Khaa Mujh Par, Muhabbat Chor Ja Mujh Ko

Tuesday, 20 September 2011

Hai Azal Se Youn Tou Jaari

Hai Azal Se Youn Tou Jaari, Shab-o-Roz Ka Tasalsul
Tray Saath Din Jo Guzray, Kabhi Laut Kar Na Aaye....!

Monday, 19 September 2011

Ek Dewaana Musafir,

Ek Dewaana Musafir Hai Meri Aankhon Main
Wakt Be-Wakt Theher Jaata Hai Chal Parta Hai...!