Urdu Ghazal
Kis anokhay dasht mein ho ae ghaz-alan-khatan
Yaad ata hai tumhein bhi ab kabhi apna watan?
Khoon rulati hai mujhy ik ajnabi chehray ki yaad
Raat din rehta hai aankh'on mein wohi laal-e-yaman
Atar mein doobi hui hai koo-e-jana'n ki hawa
Aah! us ka pair'han aur us ka sandal sa badan
Raat ab dhalnay lagi hai bastiyan khamosh hain
Tu mujhy sonay nahi deti mery jee ki jalan
Poet : Munir Niazi