Thursday, 14 March 2013

Yunhi Mil bethnay Ka Koi Bahana Niklay

Baat se baat, fasanay se fasana nikly
Yunhi mil baithnay ka koi bahan nikly

Phir chalay zikr kisi zakhm k chill janay ka
Phir koi dard koi khuwab purana nikly

Phir koi yaad koi saaz utha lay aaye
Phir kisi saaz k parday se tarana nikly

Aao dhoondain to sahi ehl-e-wafa ki basti
Kia khabar phir koi gumgushta thikana nikly

Yaar aisi bhi na baat kar k dono ro dain
Ye ta'alluq bhi faqat rasm-e-zamana nikly

Ye bhi hai ab na uthay naghma-e-zanjeer 'Faraz'
Ye bhi hai hum sa koi aur dewaana niky. .


                                                                   Poet : Ahmed Faraz