Urdu Ghazal
Raat itni jaa chuki hai aur sona haia abhi
Is nagar mein ik khushi ka khuab bona hai abhi
Kyun diya dil us but kam sin ko aisay waqt mein
Dil si cheiz jis k liye bus ik khilona hai abhi
Aisi yaad'on mein ghiray hain jin se kuch haasil nahi
Aur kitna waqt in yaad'on mein khona hai abhi
Jo hua, hona hi tha, so ho gya hai dosto!
Daagh us ehd-e-sitam ka dil se dhona hai abhi
Hum ne khiltay dekhna hai phir khayaban-e-bahaar
Sheher k itraaf ki mitti mein sona hai abhi.
Poet : Munir Niazi