Saturday, 16 March 2013

Aik nagar k naqsh bhula doon - Urdu Ghazal

Urdu Ghazal

Aik nagar k naqsh bhula doon, aik nagar eejad karu'n
Aik taraf khamoshi kar doon aik taraf aabad karu'n

Manzil-e-shab tay karni hai apny akelay dam se hi
Kis k liye is jaga pe ruk kar din apna barbaad karu'n

Boht qadeem ka naam hai koi abru hawa k toofan mein
Naam jo mein ab bhool chuka hun kaisy us ko yaad karu'n

Ja k sunu'n Aasar-e-chaman mein saeen saeen shakh'on ki
Khaali Mehel k burj'on se deedar-e-baraq-o-baad karu'n

Sher 'Munir' Likh'un mein uth kar sehen-e-sehr k rang'on mein
Ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka sham dhalay k baad karu'n!

Poet : Munir Niazi