Tuesday, 19 March 2013

Nisaar Mein Teri Galiyo'n K Ae Watan - Urdu Poetry

Urdu Poetry

Nisaar mein teri galiyo'n k ae watan k jahan
Chali hai rasm k koi na sir utha k chalay
Jo koi chahnay wala tawaaf ko nikley
Nazar chura k chalay, jism-o-jaan bacha k chalay

Yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq
Na un ki rasm nae hai, na apni reet nae
Yunhi hamesha khilaye hain hum ne aag mein phool
Na unki haar nae hai, na aoni jeet nae

Gar aaj tujh se juda hain to kal ba'ham hongy
Ye raat bhar ki judai to koi baat nahi
Gar aaj aouj pe hai taal-e-raqeeb to kia
Ye chaar din ki khudai to koi baat nahi

Isi sabab se falak ka gila nahi karty
Tery firaaq mein hum dil bura nahi karty

Poet : Faiz Ahmed Faiz