Monday, 14 April 2014

Ghum Hai Ya Khushi Hai Tu - Nasir Kazmi


Ghum hai ya khushi hai tu, Meri zindagi hai tu
Aafato'n k daur mein, Chain ki gharri hai tu
Meri raat ka charagh, Meri neend bhi hai tu
Mein khiza'n ki shaam hoon, Rut bahaar ki hai tu
Dosto'n k darmiyan, Wajha-e-Dosti hai tu
Meri sari umr mein, Aik hi kami hai tu
Mein to wo nahi raha, Haan magar wohi hai tu
'Nasir' is dayaar mein, kitna ajnabi hai tu. . !

Poet : 'Nasir Kazmi'

Taken from 'Jaras'

No comments:

Post a Comment

Give Your Feedback