Sunday, 15 September 2013

Best of Ahmed Faraz- Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
Tu Kahan Hai Magr, Ae Dost Puranay Mere ?

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Tera Tajassus Bekaar
Barq-e-Awaara Ki Manid Thikhane Mere

Shama Ki Lau Thi K Wo Tha Magr Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere

Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere

Lutt Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat'Gari-e-Dil Ye Bhi Khazanay Mere

Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere

Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere

Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere

Tu Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chheen Liya Ehd-e-Wafa Ne Mere

Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere. . .!

No comments:

Post a Comment

Give Your Feedback