Thursday, 1 August 2013

Shaam dhaltay hi kisi gosha-e-veerani mein

Saaz-o-awaaz, khad-o-khaal mein aa jatay hain
Saans leta hoon tou sur taal mein aa jaty hain

Jung aur ishq mein haaray huay logon ki tarha
Hum ghaneemat k kisi maal mein aa jaty hain

Zindagi khuwab hai aur khuwab ki qeemat leny
Jin ko aana ho har haal mein aa jatay hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal badalta hi nahi
Hum bhi danista teri chaal mein aa jatay hain

Shaam dhaltay hi kisi gosha-e-veerani mein
Hum parindo'n ki tarha jaal mein aa jaty hain

No comments:

Post a Comment

Give Your Feedback