Saturday, 16 March 2013

Nisha'n Koi Na Tha! - Urdu Ghazal

Urdu Ghazal

Naam Be-had Thy magar unka nisha'n koi na tha
Basti'an hi basti'an theen, paasba'n koi na tha

Khurram-o-Shadab chechray saabit-o-sayyar dil
Ek zamee'n aisi thi jis ka aasman koi na tha

Kia balaa kisham thi subho'n, shab'on k darmian
Aur mein in manzil'on per tha jahan koi na tha

Har maka'n ik raaz tha apny makeen'on k sabab
Rishta mery aur jin k darmia'n koi na tha

Tha wahan mojood koi baam-o-dar k us taraf
Par nagar mein is sadaa ka raazda'n koi na tha

Poet : Munir Niazi