Famous Nazm "Kuttay" by Faiz Ahmed Faiz
Ye galiyon k awaara be-kaar kuttay
K baksha gya jin ko zauq-e-gadaai
Zamanay ki phitkaar sarmaya un ka
Jahan bhar ki dhatkaar un ki kamaai
Na araam shab ko, na raahat saweray
Ghalazat mein ghar, naaliyon mein basaairay
Jo bigrain to ik dusray se larra do
Zara aik roti ka tukra dikha do
Ye har aik ki thokar'ain khanay waalay
Ye faaq'on se ukta k marr janay waaly
Ye mazloom makhlooq gar sir uthaye
To insan sab sir kashi bhool jaye
Ye chahain to duniya ko apna bana lain
Ye aaqa'on ki haddiyan tak chaba lain
Koi in ko ehsas-e-zillat dila de
Koi in ki soi hui dum hila de
Ye galiyon k awaara be-kaar kuttay
K baksha gya jin ko zauq-e-gadaai
Zamanay ki phitkaar sarmaya un ka
Jahan bhar ki dhatkaar un ki kamaai
Na araam shab ko, na raahat saweray
Ghalazat mein ghar, naaliyon mein basaairay
Jo bigrain to ik dusray se larra do
Zara aik roti ka tukra dikha do
Ye har aik ki thokar'ain khanay waalay
Ye faaq'on se ukta k marr janay waaly
Ye mazloom makhlooq gar sir uthaye
To insan sab sir kashi bhool jaye
Ye chahain to duniya ko apna bana lain
Ye aaqa'on ki haddiyan tak chaba lain
Koi in ko ehsas-e-zillat dila de
Koi in ki soi hui dum hila de