Saturday, 16 March 2013

Darr K kisi Se Chup Jata hai - Urdu Poetry

Urdu Poetry

Darr k kisi se chup jata hai jaisay saanp khizanay mein
Zar k zor pe zinda hain sab khaak k is weeranay mein

Jaisay rasm ada karty hon sheher'on ki aabadi mein
Subha ko ghar se dur nikal kr shaam ko wapis anay mein

Neelay rang mein doobi aankhain khuli parri theen sabzay per
Aks parra tha aasman ka shayad is paimanay mein

Dabi hui hai zair-e-zameen, ik dehshat gang sada'on ki
Bijli si kahin larz rahi hai kisi chupay te-khanay mein

Dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-sheher ki ronaq se
Kitni ziya be-sood gaee sheeshay k lafz jalany mein

Mein to 'Munir' aainey mein khud ko tak kar hairaan hua
Ye chehra kuch aur tarha tha pehlay kisi zamanay mein!

Poet : Munir Niazi