Friday, 22 March 2013

Bisaat-e-Raqs - Urdu Ghazal by Faiz Ahmed Faiz

Urdu Ghazal

Bisaat-e-raqs pe sad sharq-o-gharab se sar-e-shaam
Damak raha hai teri dosti ka maah-e-tamaam

Chalak rahi hai tery husn-e-meherba'n ki sharaab
Bhara hua hai laba'lab har ik nigah ne jaam

galay mein tang tery harf-e-lutf ki baanh'ain
Pas-e-khyaal kahi'n sa'at-e-safar ka payaam

Abhi se yaad mein dhalny lagi hai sohbat-e-shab
Har aik roo-e-haseen ho chala hai baish haseen

Milay kuch aisay, judai yun huay k 'Faiz' ab k
Jo dil pe naqsh banay ga wo gul hai, Daagh nahi. . . !

Poet: Faiz Ahmed Faiz

2 comments:

  1. Assalamu alaikum
    Your email please . I need to comment on a different issue.. Thanks
    DrYunusgilani@gmail.com

    ReplyDelete

Give Your Feedback