Urdu Ghazal
Baat bus se nikal chuki hai
Dil ki haalat sambhal chuki hai
Ab junoon had se barh chala hai
Ab tabi'at behel chuki hai
Ashk khoon'naab ho chukay hain
Ghum ki rangat badal chuki hai
Ya yunhi bujh rahi hain sham'en
Ya shab-e-hijr tal chuki hai
Laakh paighaam ho gaye hain
Jab saba aik pal chali hai
Jao ab so raho sitaro
Dard ki raat dhal chuki hai.
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Baat bus se nikal chuki hai
Dil ki haalat sambhal chuki hai
Ab junoon had se barh chala hai
Ab tabi'at behel chuki hai
Ashk khoon'naab ho chukay hain
Ghum ki rangat badal chuki hai
Ya yunhi bujh rahi hain sham'en
Ya shab-e-hijr tal chuki hai
Laakh paighaam ho gaye hain
Jab saba aik pal chali hai
Jao ab so raho sitaro
Dard ki raat dhal chuki hai.
Poet : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment
Give Your Feedback