Kitaab Kab Tak Rahe Gi Saada, Kabhi To Aaghaz-E-Baab Hoga,
Jinhon Ne Basti Ujaar Dali, Kabhi To Un Ka Hisaab Hoga,
Sehar Ki Khushiyan Manane Walo, Sehar Ke Tewar Bata Rahe Hain,
Abhi To Itni Ghutan Barhe Gi K Saans Lena Azab Hoga,
Woh Din Gaye Ke Jab Har Sitam Ko, Ada-E-Mehboob Keh Kar Chup Thay,
Uthay Gi Hum Par Jo Eent Koi, To Us Ka Patthar Jawab Hoga,
Sukoon-E-Sehra Main Basne Walo, Zara Ruton Ka Mizaaj Samjho,
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra, To Kal Ka Mausam Kharab Hoga
Nahi Ke Ye Sirf Shairy Hai, Ghazal Mein Tareekh E Behissi Hai,
Jo Aaj Sheron Mein Keh Diya Hai, Woh Kal Shareek E Nisab Hoga
.