Apne Maazi Ke Tasawwur Se Hiraan
See Hoon Main
Apne Guzre Huye Aiyaam Se Nafrat Hai
Mujhe
Apni Bekar Tamannaon Pe Sharminda
Hoon
Apni Besood Umeedon Pe Nidamat Hai
Mujhe
Mere Maazi Ko Andhere Mein Daba
Rahne Do
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa
Kuchh bhi Nahin
Meri Ummeedon Ka Hasil, Meri Kaawish
Ka Sila
Ek Be Naam Aziyat Ke Siwa Kuchh Bhi
Nahin
Kitni Bekar Umeedon Ka Sahara Lekar
Main Ne Aiwan Sajaye The Kisi Ki
Khatir
Kitni Be Rabt Tamannaon Ke Mubham
Khake
Apne Khwabon Mein Basye The Kisi Ki
Khatir
Mujh Se Ab Meri Mohabbat Ke Fasane
Na Kaho
Mujhko Kahnedo Ke Mainne Unhen
Chaha Hi Nahin
Aur Woh Mast Nigahen Jo Mujhe Bhool
Gayeen
Main Ne Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi
Nahin
Mujhko Kahne Do Ki Main Aaj Bhi Ji
Saktee Hoon
Ishq Nakam Sahi , Zindgi Nakam
Nahin
Unko Apnane Ki Khwahish, Unhen
Paane Ki Talab
Shauq Bekar Sahi, Saiye Ghum Anjam
Nahin
Wohi Kushboo, Wohi Nazrein, Wohi
Aariz, Wohi Jism
Main jo Chahoon To Mujhe Aur Bhi Mil
Saktein Hain
Woh Kanwal Jinko Kabhi Un Ke Liye
Khilna Tha
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil
Saktein Hain.. ♥