Saturday 17 December 2011

sard kamre mein machalti garm saanson ki mehek

sard kamre mein machalti garm saanson ki mehek,
baazuon ke sakht halke mein koi naazuk badan,
silvatein malaboos par aanchal bhi kuch dhalka hua,
garmi-e-rukhsar se dhanki hui thandi hawa,
narm zulfon se mulayam ungliyon ki chhed chhaad,
surkh honthon par shararat ke kisi lamhe ka aqs,
reshmi baahon mein chudi ki kabhi madhham khanak,
sharmagin lehjo mein dhire se kabhi chahat ki baat,
do dilon ki dhadkano mein gunjti thi ek sada,
kaanpte honthon pe thi allah sirf ek dua,
kaash ye lamhe theher jaaye theher jayein zara..
 sad urdu poetry shayari

No comments:

Post a Comment

Give Your Feedback