Friday, 18 November 2011

Bas ik Tamaasha ye “Zeest” thehri- Hindi Shayari

sad picture
Na Wajood apña, Na Rooh apñi,

Bas ik Tamaasha ye “Zeest” thehri “

Na Dil lagi men Sakooñ paya,

Na Aashqi men Qarar paya,

Na Wasl Lamhy hi Raas aye,

Na Firaaq hi Ham guzar paye,

Ajab ye Chahat k Marhalay hen,

Na Jeet paye, Na Haar paye,

Na hi Yadooñ ki Dhuñnd Utri,

Na Dil k Daamañ ko Jhaar paye,

Na Aañkheñ Khawaboñ ko Dhond paa’een,

Na Khawab Aankhon ko Dhond paye,

Bas ik Tamaasha ye “Zeest” thehri….!

Hindi Shayari

No comments:

Post a Comment

Give Your Feedback