Faraib-e-Zatt Se Niklo, Jahan Kay Saanehy Dekho,
Haqiqat Munkashif Ho Gi, Kabhi To Ainay Dekho,
Wo Aik Ajnabi Jis Se, Taa'lluq Sarsari Sa Tha,
Hamaray Dil Main Hotay Hain, Ussi Kay Tazkaray Dekho,
Likha Hai Wakt Ne Ye Bhi, Ajab Apnay Muqaddar Main,
Palatna Hi Nahin Jisko, Ussi Kay Raastay Dekho,
Humain Samjho Na Khush Itna, Labon Ki Muskurahat Se,
Hamari Aankh Main Phaailay, Hazaron Haadsay Dekho,
Thakay Haaray Se Baithay Thay, Magar Teri Sada Sun Kar,
Shikasta Paa Chalay Aaye, Hamaray Hoslay Dekho...!

What an Artistic Work! keep posting.
ReplyDeleteHindi Shayari
whose ghazal is this? Faiz's?
ReplyDeleteDon't know brother !
Delete