Kia aese kam sukhan se koi guftagu kare
jo mustaqil sukoot se dil ko lahoo kare
ab tau hamen bhi tark-e-marasim ka dukh nahi
par dil ye chahta he ke aghaaz too kare
tere bagher bhi tau Ghaneemat hai zindagii
Khud ko ganwaa ke kaun teri justuju kare
ab tau ye aarzu hai ke wo zakhm khaa’iye
taa-zindagi ye dil na koi aarzoo kare
tujh ko bhulaa ke dil hai wo sharminda-e-nazar
ab koi hadisaa hi tere ru-ba-roo kare
chup chaap apni aag men jalte raho Faraz
duniyaa tau Gharz-e-haal se be-aabruu kare.
Hindi Shayari