Sunday 6 March 2016

Shehar k Dukandaro - Nusrat Fateh Ali Khan - Lyrics


Shehar Ke Dukandaro! Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein, Khuwab Kitne Mehnge Hein Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaro!, Sheher Ke Dukandaro!



Koi Kaisay Milta Hai, Phool Kaisay Khilta Hai, Aankh Kaisay Jhukti Hai, Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai, Kaisay Baat Chalti Hai, Shouq Ki Zubaa'n Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaro! Sheher Ke Dukandaro!



Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai, Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai

Tum Mareez-E-Danaai, Maslihat Ke Shaydai, Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaro! Sheher Ke Dukandaro!



Zakhm Kaisay Phaltay Hein, Daagh Kaisay Jaltay Hein, Dard Kaisay Hota Hai, Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaro! Sheher Ke Dukandaro!



Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein, Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai, Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron



Janta Hoon Mein Tum Ko, Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai, Shaksiyat Sajanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho, Sirf Lafz Suntay Ho, In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay

Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron

Sunday 22 November 2015

Thursday 17 September 2015

Woh Fariab Khurda Shaheen - Allama Muhammad Iqbal

Wo faraib-khurda shaheen, jo pala ho kargaso'n mein
Usay kia khabar k kia hai, raah-o-rasm-shahbazi

Poet : Allama Iqbal
Book : Baal-e-Jibreel

Sunday 26 April 2015

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhanay Wala - Urdu Poetry

Dost ban kar bhi nahi sath nibhanay wala
Wohi andaaz hai zaalim ka zamanay wala. . !

دوست بن کر بھی نہیں ساتھ نبھانے والا
وہی انداز ہے ظالم کا زمانے والا

Monday 6 April 2015

Abhi Laut Aa Mery Gumshuda - Sad Urdu Poetry

Abhi Waqt Hai, Abhi Sans Hai, Abhi Laut Aa Mery Gumshuda
Mujhy Naaz hai mery zabt par, mujhy phir rula mery gumshuda

Ye nahin k tery firaaq mein, mein ujarr gaya ya bikhar gaya
Haan! Mohabbato'n pe jo maan tha, wo nahi raha mery gumshuda

Mujhy ilm hai k tu chaand hai kisi aur ka, magar aik pal
Mery aasman-e-hayaat pe zara muskura mery gumshuda

Tery altafaat ki baarishain, Jo meri nahi to bata mujhy
Tery dasht-e-chah mein kis liye, mera dil jala mery gumshuda?

Ghanay jangalo'n mein ghira hoon mein, Barra Ghup andhera hai chaar soo
Koi aik charaagh to jal uthay. . Zara muskura mery gumshuda. . . !

Abhi Laut Aa Mery Gumshuda - Best Urdu Poetry



ابھی وقت ہے، ابھی سانس ہے، ابھی لوٹ آ میرے گمشدہ
مجھے ناز ہے میرے ضبط پہ، مجھے پھر رُلا میرے گمشدہ

یہ نہیں کہ تیرے فراق میں، میں اجڑ گیا یا بکھر گیا
ہاں محبتوں پہ جو مان تھا، وہ نہیں رہا میرے گمشدہ

مجھے علم ہے کہ تُو چاند ہے کسی اور کا مگر ایک پَل
میرے آسمانِ حیات پہ ذرا مسکرا میرے گمشدہ

تیرے التفات کی بارشیں، جو میری نہیں تو بتا مجھے
تیرے دشتِ چاہ میں کِس لئیے میرا دِل جلا میرے گمشدہ؟

گھنے جنگلوں میں گِھرا ہوں میں، بڑا گُھپ اندھیرا ہے چار سُو
کوئی ِایک چراغ تو جل اُٹھے۔ ۔ ذرا مسکرا میرے گمشدہ