Friday, 30 September 2011

Wo Mujh Ko Likhta Ae meri Jaan

Wo Mujh Ko Likhta Ae meri Jaan
Judaaiyon Ki Udaas Rut Main,
Khafa Na Hona,
Main Laut Aya Tou Qurbaton K,
Haseen Mosam Se Dil Ka Aangan Sanwaar Doonga,
Bahaar Is main Utaar Doonga
Main Lay Kar Aaunga saath apnay
Muhabbaton K Gulaab Mosam
Wafa Main Doobay Seemab Lamhay
Tumhari Khatir...!
Tumhari Khaatir..!
Magar Wo Aaya Tou Uzr laaya
Javaaz laya,
Wazahaton Ka Mahaaz Laaya
Main Jin Dukhon Ki Tha Intehaa PAr,
Wo Phir Se Unka Aaghaaz Laaya...!

Hum Ne Har Gham Ko Muhabbat Ki Enayat Samjha

Hum Ne Har Gham Ko Muhabbat Ki Enayat Samjha
Hum Koi Tum Thay Jo Logon Se Shikayat Kartay???

Thursday, 29 September 2011

Yaa Tera Tazkara Karay Har Shakhs

Yaa Tera Tazkara Karay Har Shakhs,,
Yaa Koi Hum Se Guftugu Na Karay...!

in pe dhaao na sitam masoom hain ye

in pe dhaao na sitam masoom hain ye

hanste bachchon ko rulate ho?. kya karte ho...

Wednesday, 28 September 2011

Chal parri hun Dil se, Magar Chahti hun ye

Chal parri hun Dil se, Magar Chahti hun ye
Uth k Mujhe Wo Rok le, Aur Raasta Na De !

Eyaadat Rasm-E-Duniya Thi Chaly Aaty To Kiya Hota

Eyaadat Rasm-E-Duniya Thi Chaly Aaty To Kiya Hota,
Tumhary Pooch Leiny Say Na Jee Uthtay Na Mar Jaaty…

CHALO AB MAAN JAO TUM

CHALO AB MAAN JAO TUM,,,

Bohat Anmol si Gharriyaan,
Bohat Nayab say Lamhay

Sitamgar Waqt k Panjay mein aa ker,
Kho Gaey Hum say

Bohat Ziddi Agar Ho Tum,
To Hum bhi hain Bohat Khud-Sar

Magar ik Baat Batlaoon,
Bicharr k Hum nay Kia Paaya

Teri Khushiaan Juda Hum say,
Meray Sapnay Khafa Mujh say

Teri Raatain bhi Sadiyon si,
Meray bhi Din nahi Kat-tay

Chalo ik Pal ko Sochain Hum,
k in Sub Raaigaan Baaton say
Aakhir Kia Mila Hum ko.¿??

"Chalo Ab Maan Jaao Tum"..!

 Tera Joban Ye Mujh say hy,
 Mera Jeevan Ye Tujh say hy

 Teri Muskan Mujh say hy,
Mera her Maan Tujh say hy

  "Chalo Ab Maan Jaao Tum"..!
 

Tuesday, 27 September 2011

Ki Muhabbat Tou Siyasat Ka Chalan Chor Diya Hum Ne

Ki Muhabbat Tou Siyasat Ka Chalan Chor Diya Hum Ne,
Hum Muhabbat Na Kartay Tou Hakoomat Kartay......!

Meray Sabr Ka Koi Ajar Kia, Meri Dopehr Pe Ye Abr Kiun

Meray Sabr Ka Koi Ajar Kia, Meri Dopehr Pe Ye Abr Kiun?
Mujhay Oorhnay De Aziyyatain, Meri Aadatain Na Kharaab Kar...!

Hina K Waastay Sakhiyaan Jab Us K Haath Kholaingi

Hina K Waastay Sakhiyaan, Jab Us K Haath Kholaingi
Tou Pehli Baar Wo Sachi Lakeerain Jhoot Bolaingi..!

Saturday, 24 September 2011

Ek Umer Hai K Bitani Hai Tere Baghair,

Ek Samundar Hai K Mere Muqabil hai,
Ek Qatra Hai K Muj Se Sambhala Nhi Jata ...

Ek Umer Hai K Bitani Hai Tere Baghair,
Ek Lamha Hai K TERE BIN Guzara Nhi Jata…

Bichar k mujh se agar tu ne zindagi paa li

Bichar k mujh se agar tu ne zindagi paa li ,
Mai khush hun meri tabahi bhi kamyaab rahi..!!

Ab Na Dhundna Mjhe Zameen O Aasmaan Ki Gardish Main.

Ab Na Dhundna Mjhe Zameen O Aasmaan Ki Gardish Main..
Teray Dil Main Nahi Hun Tou Kaheen Bhe Nahii...!!

Meri takmeel mein shamil hain kuch tere hisay

Meri takmeel mein shamil hain kuch tere hisay
hum agar tujhse na miltay to adhooray rehtay

Jane kab kon mujhy mar de qafir keh kar..

Jane kab kon mujhy mar de qafir keh kar..
Sheher ka sheher musalman bana phirta hy...!

wafa main ab ye hunar akhtyar karna hai

wafa main ab ye hunar akhtyar karna hai
wo sach kahy na kahy aatbar karna hai

Aarzu Yehi Hai K Izhaar-e-Muhabbat Kar Lun

Aarzu Yehi Hai K Izhaar-e-Muhabbat Kar Lun
Lafz Chunta hun Tou Lamhaat Badal Jaatay Hain..!

Hum LAbon se Kah Na Paaye Unsay Haal-e-Dil Kabhi

Hum LAbon se Kah Na Paaye Unsay Haal-e-Dil Kabhi Saaqi
Aur Wo Samjhay Nahin Yeh Khamoshi Kia Cheiz Hai...!

Na Janay Kya Kya Likh Gaya Hoon Iztaraab Main

Na Janay Kya Kya Likh Gaya Hoon Iztaraab Main,,,
Qaasid Ki Laash Aai Hai Khat Kay Jawaab Main...!

Friday, 23 September 2011

Dil Bhi Aabad Hai

Dil Bhi Aabad Hai EK Shehr-e-Khamoshan Ki Tarah “MOHSIN”
Her Taraf Log Hein, Magar AaLam-e-Tanhai Hai...!

Kaash Mujhay Maaloom Ho Jaye Teri Soch Ka Mehwar

Kaash Mujhay Maaloom Ho Jaye Teri Soch Ka Mehwar
Tou Main Khud Ko Taraashu'n Teray Andaz-e-nazar Se..!

Main kisi or ka hun itna bata kar royi


Main kisi or ka hun itna bata kar royi,
wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..

Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad,
woh mujhe pass apne dair tak bitha kar royi..

Aab k na sahi zaroor hashar main milain ge,
yakja honey k dilase dila kar royi...

Mujh se zayda bicharne ka ghum usey tha,
waqt-e-rukshat wo mujhe seenay se laga kar royi...

Main be-kasoor hun,qudrat ka faisla hai yeh,
lipat k mujh se bus wo itna baata kar royi...

Mujh pe ik kurab ka toofan ho gya hai,
jab mere samne mere khat jala kar royi...

Meri nafrat or adawat pighal gayi ik pal main,
wo be-wafa hai to kyun mujhe rula kar royi...

Sab shikwe meray ik pal main badal gaye,
jheel si ankhon main jab ansu saja kar royi...

Na Khuda Hi Mila Na Wisaal-E-Sanam


Na Khuda Hi Mila Na Wisaal-E-Sanam
Na edhar k rahy no udhar k rahy

Hawa jab zard patton ko juda shaakhon se karti hain


Hawa jab zard patton ko juda shaakhon se karti hain..
Mujhe tumse bichhar jaana bohot yaad aata hai..!!

Mein bulata to hon us ko mager aey jazba-e-dil,


Mein bulata to hon us ko mager aey jazba-e-dil,,,,
Us pe ban jaey kuch aesi k bin aaey na bany,,,

Nafraton K Saaye Main Palti Nahin Muhabbatain

Nafraton K Saaye Main Palti Nahin Muhabbatain 'Mohsin'
Haathon Main Haath ho Tou Lakeerain Mil Hi Jaati Hain..! 

Bari Gustaakhiyan Karnay Laga Hai Mera Dil Mujh Se

Bari Gustaakhiyan Karnay Laga Hai Mera Dil Mujh Se,
Ye jab Se Tera Hua Hai Meri Sunta Hi Nahin...!

Kabhi Torra Kabhi Jorra kabhi Phir Tor k Jorra

Kabhi Torra Kabhi Jorra kabhi Phir Tor k Jorra
Isi Paiwand-Kaari Ne Shikasta kar Diya Dil Ko...!

Hum Ne Socha Tha K Taghaful Na Karo Gay Lekin

Hum Ne Socha Tha K Taghaful Na Karo Gay Lekin
Khaak Ho Jaaingay Tum Ko Khabar Honay Tak...!

Ro Para Wo Shakhs Aaj

Ro Para Wo Shakhs Aaj Alivida Kehtay Kehtay,
Meri Shararaton Pe Jo Deta Tha Dhamkiaan Judai Ki.

Wednesday, 21 September 2011

Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Daina

Udaas Tehreer Parh K Meri, Meray Sanam Muskura Na Daina
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Daina

Guzar Rahi Hy Tumhari Kaise Bichhar K Humsay Rula K Humko
Haqeeton Ko Zaroor Likhna Anaa Ki Khaatir Chupa Na Daina

Koi Jo Poochay Kidhar Gya Wo? Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara
Jo Furqaton Ka Sabab Baney They, Kisi Bashar Ko Bata Na Daina

Main Marr Bhi Jaon To Muskurana Ehsas-e-Gham Ki Na Chott Khaana
Jo Qarb-e-Gham Se Nigah’en Bheeg’en Tou Rukh Se Aanchal Hota Na Daina

Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon Main Apni Saari Kahani ‘Mohsin’
Jo Phaar Bhi Do Tou Paas Rakhna Hawa Main Tukray Ura Na Daina....

Phir Teri Yaad K Mosam Ne Jagaye Mehshar

Phir Teri Yaad K Mosam Ne Jagaye Mehshar
Phir Mere Dil Main Utha Shoor Hawaon Jesa.........!!

Roothnay Se Kia Ho Ga Aao Muazrat Kar Lain

Roothnay Se Kia Ho Ga Aao Muazrat Kar Lain,
Aap Main Bhi Mujh Main Bhi, Khaamian Bohot Si Hain....!

Koi Taveez Ho Rad-e-Bala Ka

Koi Taveez Ho Rad-e-Bala Ka
Muhabbat Mere Peechey Par Gai Hai...!!!

Teri Tammana, Tera Intizar Aur Tanha Sa Main

Teri Tammana, Tera Intizar Aur Tanha Sa Main
Thak Ker Muskuraa Diya, Jab Ro Nahi Paya. . . !

Kasam Tootay Hovay Dil Ki Tumhain Khud Se Juda Ker Kay

Kasam Tootay Hovay Dil Ki Tumhain Khud Se Juda Ker Kay
Jahan Tak Hum Ne Daikha Hay Wahaaan Tak Tum Nazer Aaye

Guzree Han Aishaqi Ma Hum Aise Makam Se

Guzree Han Aishaqi Ma Hum Aise Makam Se
Keh Nafrat See Ho Gai Ha MOHABBAT Keh Naam Se

Agar Maaloom Hota Ishq Yun Majboor Kar Day Gaa

Agar Maaloom Hota Ishq Yun Majboor Kar Day Gaa…,
Bohat Pehlay Hee Iss Aafat Sey Tauba Kar Chukay Hotay

Seencha Hai Muhabbat Ka Chaman Dil K Lahu Say

Seencha Hai Muhabbat Ka Chaman Dil K Lahu Say,
Ghunchay Meri Umeed K Murjha Nahi Saktay...!

Udaasiyan Tou Meray Ehd Ki Alaamat Hain

Udaasiyan Tou Meray Ehd Ki Alaamat Hain,
Main Hans Parra Tou Nohot Peechay Laut Jaunga.

Ajab Pahailiyaan Hain Ye haath Ki Lakeeron Main

Ajab Pahailiyaan Hain Ye haath Ki Lakeeron Main
Safar likhay Hain Magar Manzil Nahin Likhi

Meray Din Raat Mushkil Main, Sukoon Ik Pal Nahin Mujh Ko

Meray Din Raat Mushkil Main, Sukoon Ik Pal Nahin Mujh Ko
Muhabbat Tarss Khaa Mujh Par, Muhabbat Chor Ja Mujh Ko

Tuesday, 20 September 2011

Hai Azal Se Youn Tou Jaari

Hai Azal Se Youn Tou Jaari, Shab-o-Roz Ka Tasalsul
Tray Saath Din Jo Guzray, Kabhi Laut Kar Na Aaye....!

Monday, 19 September 2011

Bahaar Rut Main Ujaar Rastay, Takka Karo Gay Tou Ro Paro Gay

Bahaar Rut Main Ujaar Rastay,
Takka Karo Gay Tou Ro Paro Gay.
Kisi Say Milnay Ko Jab Bhi 'Mohsin',
Saja Karo Gay Tou Ro Paro Gay.

Tumharay Waa'don Ne Yaar Mujh Ko,
Tabah Kiya Hai Kuch Is Tarha Say.
Kay Zindagi Main Jo Kabhi Kisi Se,
Daghaa Karo Gay Tou Ro Paro Gay.

Main Jaanta Hun Meri Muhabbat,
Ujaar De Gi Tumhain Bhi Aisay.
K Chaand Raaton Main Jab Kisi Se,
Mila Karo Gay Tou Ro Paro Gay.

Barasti Baarish Main Yaad Rakhna,
Tumhain Sataingi Meri Aankhain.
Kisi Wali K Mazaar Par Tum,
Dua Karo Gay Tou Ro Paro Gay....!

Ek Dewaana Musafir,

Ek Dewaana Musafir Hai Meri Aankhon Main
Wakt Be-Wakt Theher Jaata Hai Chal Parta Hai...!

Sunday, 18 September 2011

Ana Ki Jang Hum Jeet Tou Gaye Lekin

Ana Ki Jang Hum Jeet Tou Gaye Lekin, , ,
Phir Us Kay Baad Bohat Dair Tak Nidhaal Rahay.

Kon Kerta Hai Wafaaon K Taqazay Tum Se

Kon Kerta Hai Wafaaon K Taqazay Tum Se...
Hum To Ik Jhooti Tasalli K Talabgaar Hein Bas...!

Aag Laga Kar

Jee Tou Chahta Hai Kabhi Aag Laga Kar Dil Ko,
Phir Kahin Duur Kharay Ho Kar Tamasha Dekhun...!

Khayal-e-Yaar Main

Khayal-e-Yaar Main Neend Ka Tasawwur Kaisa?
Aankh Lagti Hi Nahin Jab Se Hai Aankh Lagi. . . . !

Saturday, 17 September 2011

Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha

Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha Raat Bhar 'Mohsin'
Lay jaunga Muthi Main Kisi Roz Chupa Kar....!

Rukh-e-Yaar Per Yeh Zulfain

Rukh-e-Yaar Per Yeh Zulfain Yoon Bikhar Rahi Hain Jaisay
Kabhi Din Nikal Raha Hai, Kabhi Raat Ho Rahi Hai...!

Dilon Ka Khel Jo Khelo

Dilon Ka Khel Jo Khelo Tou Ye Baat Bhool Mat Jana
Kay Khel Khel Main Aksar Khilonay Toot Jatay Hain. . . !

Tum Samajhtay Ho kay Sher Kehta Hoon

Tum Samajhtay Ho kay Sher Kehta Hoon
Apnay Zakhmon Se Khelta Hun Main. . . !

Matti Main Mila Deti Hai

Matti Main Mila Deti Hai Hanstay Huay Chehray,
Taqdeer Ko Rishton Ki Pehchaan Kahan Hai....!

Friday, 16 September 2011

Suna Hoga Bohat Tum Ne ….

Suna Hoga Bohat Tum Ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN …
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!

Ik Shakhs Kar Raha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikr

Ik Shakhs Kar Raha Hai Abhi Tak Wafa Ka Zikr
Kaash Us Zuban Daraz Ka Mounh Noch Lay Koi

Laut Aaye Hain Nigaho'n Main Puranay Chehray

Laut Aaye Hain Nigaho'n Main Puranay Chehray
Phir Gaye Waqt Ki Zanjeer Hila Di Kis Nay?

Chaand Ko Dekh Kay

Tujh Ko Milnay Ki Dua Na Lab Pe Aa Jaye Kahin
Chaand Ko Dekh Kay Youn Aankh Bachai Mainay....!

Sitaray Na Kahin Guftugu Sun Lain

Usay Ye Dar K Sitaray Na Kahin Guftugu Sun Lain,
Mujhay Ye Fikr Kay Sooraj Nikalnay Wala hai...!

Gham Ki Talkhiyo'n Pe

Jhooti Musarato'n Ko Yeh Haadsa Suna Do,
Hum Gham Ki Talkhiyo'n Pe, Eeman La Chukay Hain...

Wo Paas Rehta Wo Paas Rakhta

Thi Door Manzil Musafaton Main Katti Hai Umr-e-Shabaab Apni
Wo Paas Rehta Wo Paas Rakhta Wafa Nibhata Tou Kia Bura Tha?

Ye Dil Bura Sahi

Ye Dil Bura Sahi, Sar-e-Bazaar Tou Na Kah...
Aakhir Tu Is Makaan Main Kuch Dn Tou Raha Hai. . .

Wednesday, 14 September 2011

Mujhay Tumsay Muhabbat Thi

Kisi Kamzor Lamhay Main,
Main Agar Tum Se Ye Kah Doon,

"Mujhay Tum Se Muhabbat Hai"

Tou Tum Ye Mat Samajh Lena
Kay Mainay Sach Kaha Ho Ga
Kay Aisi Dil Nasheen Baatain
Mujhay Bachpan Se Aati Hain
Meri Aankhain, Mera Chehra
Mera Be-Saakhta Lehja
Ye Sab Kuch Jhoot Hota Hai
Magar Ab Ki Baar Is Jhoot Main
Aik Sach Bhi Shamil Hai

"Mujhay Tumsay Muhabbat Thi"
"Mujhay Tumsay Muhabbat Hai"....!

Tuesday, 13 September 2011

Mujhay Muhabbat Si Ho Gai Hai

Ajab Tasalsul Se Zehn-o-Dil Main Khayal Taqseem Ho Rahay Hain..
Mujhay Muhabbat Si Ho Gai Hai Tujhay Muhabbat Sikha Sikha Kay..!

Mere Humsafar Abhi Soch Lay

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
... Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Khabi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tu Hai Khwab Khwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

Monday, 12 September 2011

Munsif Hai Mera Qaatil

Rahzan Hai Mera Raahbar, Munsif Hai Mera Qaatil,
Keh DooN To Baghaawat Hai, Seh Loon Tou Fasana Hai

Tumhari Yaad Bhi 'MOHSIN' Kisi Muflis Ki Poonji Ha

Tumhari Yaad Bhi 'MOHSIN' Kisi Muflis Ki Poonji Ha,,,
Jisay Hum Sath Rakhtay Hain, Jisay Hum Roz Gintay Hain

Ab Ki Baar Wo Mila Tou Ussay Khoob Rulaingay

Ab Ki Baar Wo Mila Tou Ussay Khoob Rulaingay 'Faraz'
Suna Hai Ussay Rotay Main Lipat Janay Ki Aadat Hai..!

Iss Sheher main Wohi Shakhs Hai Apna

Lay Day Kay Iss Sheher main Wohi Shakhs Hai Apna,
Duniya Kahin Usko Bhi Samajhdaar Na Kar Day. . . . !

Sunday, 11 September 2011

Jin Rahon Pe Ik Umer Tere Sath Raha Hoon

Jin Rahon Pe Ik Umer Tere Sath Raha Hoon,
Kuch Roz Se Woh Rastay Sunsaan Buhat Hain,

Mil Jao Kabhi Loat K Phir Aaon Na Shayad,
Kamzor Hoon Main Raah Mein Toofaan Buhat Hain,

Ik Tarq-e-Wafa Pe Main Usay Kaise Bhula Doon,
Mujh Par Us Shaks K Eshaan Buhat Hain,

Bhar Aayein Na Aankhein Toh Ek Baat Bataon,
Ab Tum Se Bichar Janay K Imkaan Buhat Hain

Saturday, 10 September 2011

Lagta Hai Kay Usko Muhabbat Nahi Rahi

Lagta Hai Kay Usko Muhabbat Nahi Rahi,
Wo Shakhs Mujhko Dekh Kar Nazrain Chura Gaya...!

Dil Chahata Hai

Ye Kia Kay Ik Hi Taur Se guzray Tamaam Umer,
Dil Chahata Hai Ab Teray Siwa Koi Aur Bhi Ho...!

awsurveys scam...!

Awsurveys is a totally scam site. when i first time read it's policies...! I joined it without verifying this site. i got 27 dollars at a spot and then waited for referrals. when my total balance crossed $75. i tried to redeem it. they asked me for a time of 5 days and have not paid me yet. then i searched on Google and came to know that its a totally fraud site. everyone who has tried it, writes against it. no one has get paid yet..!
I Stronglly recommend to avoid it...!

awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys, awsurveys,

Friday, 9 September 2011

Apne Halaat Ka Bhi Ehsas

Apne Halaat Ka Bhi Ehsas Nahi Hain Mujh Ko 'Mohsin'
Mainay Auron Se Suna Hai Kay Pareshaan Hoon Main..!

Kay Tum Bin Hum Adhooray Hain...!

Tumhain Aik Baat Kehni Hai,
Magar Naraaz Mat Hona,
Kay Tum Jo Har Ghari Mujhko,
You Itna Yaad Aatay Ho,
Humain Itna Satatay Ho,
Na Itna Yaad Aao Tum,
Na Youn Itna Sataao Tum,
Kay Itna Yaad Aa Kar Youn,
Humain Paagal Bana Kay Tum,
Faqat Itna Bata Do Kay,
Hamari Jaan Lo Gay Kya?
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,
Tumhari Yaad Hi Tou Hai,
Jo Har Pal Saath Rehti Hai,
Khushi Main Bhi Ghamon Main Bhi,
Udaasi Kay Palon Main Bhi,
Tumhari Yaad Hi Tou Hai,
Jo Har Pal Ye Batati Hai,
Mujhay Ehsaas Dilaati Hai,
Kay Tum Bin Hum Adhooray Hain....!

Saaqi Ki Nawazish

Saaqi Ki Nawazish Main Agar Zara Si Bhi Kami Ho...!
Ghairat Ka Taqaza Hai Kay Jaam Badal Daalo...!

MUHABBAT AAP JAISI HAI


‎" MUHABBAT"

Mujhe sab log kehtey hain,
muhabbat jantay ho tum ?
Muhabbat mantay ho tum,
?muhabbat aag jaisi hai !
Jo jalti hai to bujhti nahin ,
muhabbat geet jaisi hai !
Kai sazon pe mabni hai ,
muhabbat rangon ki titli hai
Jo khushbu dhond leti hai

Magar kyun mujh ko lagta hai,
Ye sare lafz jhootay hain,
Agar sach hai,to bas ye hai,
Muhabbat Aap jaisi hai.
Kabhi gumsum,kabhi chanchal,
Kabhi jugnu kabhi badal,
Kabhi ye neend hai to,
kabhi ye khwab jaisi hai.

"MUHABBAT AAP JAISI HAI"

Mehroom-e-haqeeqat hain saahil k tamashaai


Mehroom-e-haqeeqat hain saahil k tamashaai
Hum doob k samjhy hain dariyaon ki gehraai .. !

Phirtey hain sath sath tamam raat magar


Phirtey hain sath sath tamam raat magar,
Us Ko chand, Mujhe awara kehti hai duniya.....!!

Dil Pak Nahi To


Dil Pak Nahi To Pak Ho Sakta Nahi Insan,
Warna Iblees ko B Atay Thay Wuzoo k Faraiz Bohat.

Khawahishon Ka Kaafla


Khawahishon Ka Kaafla Bhi Ajeeb Hi Hai Saqi,
Aksar Wahin Say Guzarta Hai Jahan Raasta Nahi Hota!

Thursday, 8 September 2011

Har Baar Na Kaha Kar kay Tujhay Chorr Daingay Hum

Har Baar Na Kaha Kar kay Tujhay Chorr Daingay Hum,,
Na Hum Itnay Aam Hain Na Teray Bus Ki Baat Hai...!

Wednesday, 7 September 2011

Main Ne Jab Bhi Mangi Koi Dua

Meray Humsafar Meray HumNasheen
Maine RAB Se Manga To Kuch Nahi

Main Ne Jab Bhi Mangi Koi Dua
Nahi Manga Kuch Bhi Tere Siwa
Yeh Talab Kiya Kay Meray Khuda
Sabhi Rahatein, Sabhi Chahatein
Woh Ataa Karay Tujhay Manzilein
Yeh Talab Kiya Kay Mera Khuda
Tujhay Takht De, Tujhy Taaj De
Meray Humsafar Meray Chaara-Gar
Yeh Hai Dosti Ka Kathan Safar
Meray Saath Chalna Zara Soch Kar
Zara Dekh To Mera Hosla
Meray Paas Jo Bhi, Wo Hai Tera
Nahi Aur Kuch Bhi Teray Siwa
Meri Dosti, Meri zindagi
Meri Khamoshi, Meri Be-Basi
Mera Ilm Bhi, Mera Naam Bhi
Meri Subah Bhi, Meri Shaam Bhi
Kay Jo Mil Sakein Meray Daam Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhy Ata Karay
Meray Chara-Gar Tu Yaqeen Tou Kar
Mujhe Mangna To Na Aa Saka
Maine Phir Bhi Mangi Yehi Dua
Kay Gawahi De Ga Mera Khuda

Main Ne Jab Bhi Us Say Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi Tere Siwa

Ishq ko faryaad lazim thi

Ishq ko faryaad lazim thi soo wo ho chuki
Ab zara dil thaam kar faryaad ki taseer dekhh

Mere Sajdon Mein Kami To Na Thi

Mere Sajdon Mein Kami To Na Thi 'Wasi'...
Kia Mujh Se Bhi Barh K Kisi Ne Manga Tha Tuje...

"Udaas honto py muskurahat k phool aaye to jan lyna"

 "Udaas honto py muskurahat k phool aaye to jan lyna"
ki dil k andar ki kUCH UDASI BAHOOT UDASI me dhal rahi hi"

Loug Parh Letey Hain Aankhoon Se

Loug Parh Letey Hain Aankhoon Se Dil Ki Halath,
Ab Mujh Se Tere Ghum Ki Hefazaat Nahin Hoti…!

dohri hui jaati thi kamar bojh se meiri

dohri hui jaati thi kamar bojh se meiri
jab khaab liye koocha-e-taabeer se nikla

be-kaar samajh kar mai'n jala baittha jab us ko
ek kaam achaanak teri tasveer se nikla

Mera kaarname-e-zindagi meri hasraton k siwa kuch nahi..

Mera kaarname-e-zindagi meri hasraton k siwa kuch nahi..
Yeh kiya nahi, woh howa nahi, yeh mila nahi, woh raha nahi..!

Kinara Kon Karta Hai..

Abhi To Mil k Chalna Hai Samandar Ki Musafat Main..
Phir Aagay Chal ke Dhekhenge Kinara Kon Karta Hai...??

aisaa nahiiN ke unse muhabbat nahiiN rahii

 aisaa nahiiN ke unse muhabbat nahiiN rahii
jazbaat meN vo pahlii sii shiddat nahiiN rahii

sar meN vo intizaar kaa saudaa nahiiN rahaa
dil par vo dhaRkanoN kii hukuumat nahiiN rahii

zamany ki gard ankhoo say

hamain na dakh zamany ki gard ankhoo say
tujay khabr nhi hm tujy kitna payar karty hian

Jis shaks ki mohabbat ka ''mehwar'' koi aur ho

Jis shaks ki mohabbat ka ''mehwar'' koi aur ho'' ''MOHSIN''
Hum us shaks se ''wafa'' ka taqaza nahi karty..

Bus itna jan le aey pur-kashish ke dil tujh se

Bus itna jan le aey pur-kashish ke dil tujh se
bahel to skta hai, per tujh per aaney wala nahi !!

Iss se barh k aur kiya hum per sitm ho ga

Iss se barh k aur kiya hum per sitm ho ga faraz
Mashwara manga hai uss ne faisala kerney k baad..!

Main Bojh Ban jaonga

Main Bojh Ban jaonga aik din Apne Hi DoStOn Pe JAB....
Kandhay Badal Rahay Honge Wo Har Do Qadam K Baad

Her roz kahan se laayen naya dil

Her roz kahan se laayen naya dil ♥?
Husn walon ny to andhair macha rakha hy ♥

PAGAL AANKHON WALI LARKI


PAGAL AANKHON WALI LARKI !!
ITNE MEHNGY KHUWAB MAT DEKHO
PACHTAO GI!!
SOCH KA SARA UJLA KUNDAN
ZABT KI RAAKH MAI GHUL JAI GA
KACHE PAKKE RISHTON KI KHUSHBOO KA RESHAM
KHUL JAI GA!!
TUM KIA JANO??
KHUWAB , SAFAR KI DHOOP KE JAISE
KHUWAB , ADHURI RAAT KA DOZAKH
KHUWAB , KHIYALON KA PACHTAWA!!
KHUWABON KI MANZIL RUSWAI!!
KHUWABON KA HASIL TANHAI!!
TUM KIA JANO??
MEHNGY KHUWAB KHARIDNA HON TO
AANKHEN BECHNA PARTI HAIN
YA
RISHTE BHOOLNA PARTE HAIN
ANDESHON KI REYT NA PHANKO
PIYAAS KI OT SARAB NA DEKHO
ITNE MEHNGY KHUWAB MAT DEKHO!!
THAK JAO GI...!!!!

Faqt hum hi betaab nahi

Faqt hum hi betaab nahi hain dard-e-judai ki kasam..
kabhi to wo bi roey ga tanhai mein hamein yaad kar k!

dil tujhe ab tasali dene

Kon aye ga aaye dil tujhe ab tasali dene
Teri udas tabiyat ki khabr kis ko hai

Hum To Arsy Se Kabhi Tumhary Ru-Ba-Ru Na Hoye

Hum To Arsy Se Kabhi Tumhary Ru-Ba-Ru Na Hoye"
Sirf Mehsus Kiya Tumko Aur Tabiyat Badal Gayi......

Jin Ki Khaatir Basti Chori


AUR TO KOI BAS NA CHALY GA HIJR KE DARD MARON KA
SUBHA KA HONA DO BHAR KR DEIN , RSATA ROK SITARON KA

JHUTY SIKKON MAI BHI UTHA DETY HAIN AKSAR SACHA MAAL
SHAKLEN DEKH KE SODA KRNA KAAM HAI UN BANJARON KA

APNI ZUBAN SE KUCH NA KAHEN GY CHUP HI RHEN GY ASHIQ LOG
TUM SE TO ITNA HO SKTA HAI , POOCHO HAAL BECHARON KA

JIS JISPY KA ZIKAR HAI TUM SE , DIL KO USI KI KHOJ RHI
YUN TO HUMARE SHEHAR MAI AKSAR MELA LAGA HAI NIGAARON KA

AIK ZRA C BAAT THI JIS KA CHARCHA POHANCHA GALI GALI
HUM GUM NAMON NE PHIR BHI EHSAAN NA MANA YARRON KA

DARD KA KEHNA CHEEKH UTHO , DIL KA TAKAZA WAZA NIBHAO
SAB KUCH SEHNA , CHUP CHUP REHNA KAAM HAI IZAT DARON KA

INSHA! AB INHI AJNABION MAI CHAIN SE BAKI UMAR KATY
JIN KHATIR BASTI CHORI NAAM NA LE UN PIYAARON KA..!!!

us ki bewafai pr Faraz

Phir itnay mayoos kio ho us ki bewafai pr Faraz
Tum khud hi to kahtay thay woh sab se juda hai

TUm BhOol Gaye

TUm BhOol Gaye
wOh Khail jO tUm Ney Khaila Tha
Kya Yaad Nahi ?
Kya bhOol Gye ?
Us Khail Mein Aik KhilOna Tha
hUm lOg Usey Dil Kehtey hAin
Jab Khail Liya tO tOrr Diya
Aur tOrr Key tAnhA ChOr Diya
K mUddat Sey Yeh tAnhA hAi
Yeh Bhatak Gaya Andhairon Mein
Aur tUm KhUsh hO Ujaalon Mein
Yeh Pagal Tha Be-Chara
Ab Hansta hAi Aur Kehta hAi

Haan Yaad Nahii
tUm BhOol Gaye!

Buhat takleef hoti hai..

Buhat takleef hoti hai..
ke jis se pyaar kartay hon
jisay dunya samajhtay hon
wohi anjaan betha ho
nahi jazbay samajhta ho
Buhat takleef hoti hai
kabhi jo paas se guzray
kisi ke hath ko thamay
kisi ka humsafar ban ke
woh dekhay bhi nahi mur ke
Buhat takleef hoti hai...
woh sub kuch jaan jaay tu
ke lub tum khol paay tu
magar saray jahan main woh
tujhe tamasha banay tu
BUHAT takleef hoti hai
Buhat takleef hoti hai..

Buzdili ne Khud "Tumko" kr dia juda "Ham" se

 Buzdili ne Khud "Tumko" kr dia juda "Ham" se
Hosla agar rakhtae "Mere" Hamsafar hote.

Phool shakh se bichray

Phool shakh se bichray to kahin ka nhi rehta,

tm khud ko juda meri zaat se zara soch k krna...

Barishon k mosam men

Barishon k mosam men,,,
Rooh ki fazaon men,,,
Gham zada hawaen haen,,,
Be sabab udasi hae,,,,
Is ajeeb mosam men,,,
Be qrar raton ki,,,
Be shumaar baten haen,,,
Un ginat fasany haen,,,,
Jo baht khmoshi se,,,
Dil pe sehty phirty haen,,,
Or ba amr-e-majboori,,,,
Sab se kehty phirty haen,,,,
Aaj mosam acha hae,,,
Aaj ham baht khush haen,

Tuesday, 6 September 2011

Chalo Tum Saath Mat Daina..

Chalo Tum Saath Mat Daina..

Mujhey Beshak Bhula Daina..

Naye Sapnay Saja Laina..

Naye Rishtay Bana Laina..

Bhula Daina Sabhi Waday.
.
Sabhi Qasmain Sabhi Natay.

Tumhain Jana Ijazat Hy..

Jo dil Chahay Wo Sab Karna..

Magar Ab Tum Kisi Say Bhi..

Anokha Pyar Mat Karna..

Paas Hote Hain Jab Wo Mere To Koi Mozu-e-Guftagoo Nahi

Paas Hote Hain Jab Wo Mere To Koi Mozu-e-Guftagoo Nahi
Door Hote Hain To Har Guftagoo Unhi Ke Liye Hai

Teri Mohabbat Bhi Ajeeb Thi

Teri Mohabbat Bhi Ajeeb Thi
Tera Faiz Bhi Tha Kamal Per
Kabhi Sab Kuch Mila Bin Talaab
Kabhi Kuch Mila Na Sawal Per

tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye….

tuti hui mohabbat ko dhokha naa kahiye….
mohhabbat ko sare aam ruswa naa kariye..
jisse dil me basaya tha kabhi…
uss dilbar ko yu bewafa naa kahiye…!!!

Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad,

Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad,
bna shayer bhi wo hi ,par dil me dard hone ke bad…
ask piye ankho me lali aa jane ke bad,
chhipaya dil-e-dard ko,dil ke ghayal ho jane ke bad…Har insaan ne…
nazar nhi aata chehra-e-noor ,uske mohabbat karne ke bad,
Jane wo bhi ab kaha kho gya ,mere nazar aane ke bad…Har insaan ne…
dil to ab bhi daadkata hai ,uske bas jane ke bad,
par dhadkane sirf usi ki hai,mohabbat me lut jane ke bad…Har insaan ne…
rhoo tere aanchal ke saye me,kyamat tak aa jane ke bad,
sou teri god me hi ,mout bhi aa jane ke bad…Har insaan ne…

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu,

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hu,
Armaan machalte hai jab tumse milta hu
Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta,
Sab humse jalte hai jab tumse milta hu
Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho,
Toofan se chalte hain jab tum se milta hu
Haatho se hath milte hain hotho se hoth
Dil se dil milte hain,jab tumse milta hu
Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat,
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hu

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,

Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!

Asar dil per karay shikwa,

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.

khun se senchoo to kheel jatey hn…

khun se senchoo to kheel jatey hn…
khushyoon ke bersat ho to jhoom jatey hn
gum ke aandhi ho to bekhar jatey hn……..
bedy haseen bedy dilfarib hotey hn…..
pass jaao to kantoo se bhray hoty hn..
beharoon k hamsafer hotey hn
khezan k mosum me gumm hojatey hn
hawa k dosh p leharaty phool kia jeny
ghari hotey hn jeryn to ye chamn bestay hn..

shaYad mujhe kisi se muhabbat nahi rahi.

mehsoos kar raha hun mai jeene ki talkhiYaan,
shaYad mujhe kisi se muhabbat nahi rahi.

haseen aankhon ko parhne ka abhi tak shauQ hai mujh ko

haseen aankhon ko parhne ka abhi tak shauQ hai mujh ko,
muhabbat main ujar kar bhi meri aadat nahi badli.

Pyaar Se Pyaari Koi Majburi Nahi Hoti,

Pyaar Se Pyaari Koi Majburi Nahi Hoti,
Kami Apno Ki Kabhi Puri Nahi Hoti,
Dilon Ka Juda Hona Ek Alag Baat Hai,
Nazro Se Door Hona Koi Doori Nahi Hoti….

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,
Yoon baat barrha Ker Kya Karna….?
Tum Mere Thay Tum Mere ho,
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna…?
Tum Ehad Nibhao Chaahat Say,
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna…?
Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho,
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna….?
Tere Dar Pe Aa K bethay hain,
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna..?
Din Yaad Se Acha Guzray Ga,
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna….?

woh mile bhi to fakat khuda k darbar me,

woh mile bhi to fakat khuda k darbar me,
ab tum hi kaho ibaadat karte ya mohabbat ?

Kisi manoos lamhey mein, kisi manoos chehre se

Kisi manoos lamhey mein, kisi manoos chehre se
Mohabbat ki nahin jati, mohabbat ho hi jati hai..

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya

Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!
Itna usy parha k mujy yaad ho gaya ..!
Main aaj tak hon jis k faraib-o-hisar mein ..!
Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya ..!
Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein ..!
Koi tabah hua koi barbad ho gaya ..!

Teri Awaj Tabaah-E-Dil

Teri Awaj Tabaah-E-Dil Mein Goonj Uthi
Jb Chalakta Jam Honton Se Laga

Magrabi Hawa Phir Se Chalee
Zahar-E-Gham Ka Nasha Honae Laga

Boond Boond Sharab Mein Nazar-E-Tasveer Dekhi
Kasm-E-Waade Mein Sheikh Shiddat-E-Gam Pita Hi Raha… Aadaab

Afsana Ranj-O-Gham Ka

Afsana Ranj-O-Gham Ka Suna Ke Chala Gaya
Khushiyon Ka Meri Khoon Baha Ke Chala Gaya
Tha Barf Ki Chattaan Sa Mera Vajood Wo
Paani Bana Ke Mujh Ko, Baha Ke Chala Gaya…

Pyar Karna

Pyar Karna Aasan Hota Hai, Pyar Nibhana Nahi
Aasu Bahana Aasan Hota Hai, Gam Chupana Nahi
Kash Bhool Sakte Hum Unhe, Per Jaante Hain
Kisi Se Dil Lagana Aasan Hota Hai, Unse Dur Jana Nahi…

Mera Din Teri Raat Se Behtar Hoga

Mera Din Teri Raat Se Behtar Hoga
Mera Gham Tere Jazbat Se Behtar Hoga
Ai Sanam Doli Se Bahar Jhakh Kar Dekh Lena
Mera Janaja Teri Barat Se Behter Hoga…

Monday, 5 September 2011

Tang Aa Kay Hum Jo Bechanay Niklay Apni Wafa

Tang Aa Kay Hum Jo Bechanay Niklay Apni Wafa
Logon Ne Phir Khaloos Ke Bhaao Gira Diye....!

Kuch Tu Hee Mere Dard Ka

Kuch Tu Hee Mere Dard Ka Mafhoom Samajh Lay..
Hansta Howa Chehra To Zamaane Ke Liye Hay....!

Kuch Khud Bhi Thay Afsurda Se

Kuch Khud Bhi Thay Afsurda Se
Kuch Tum Bi Hum Se Rooth Gaye,
Kuch Khud Hi Zakam K Aadi Thay
Kuch Sheeshay Hath Se Chhoot Gaye,
Kuch Khud Bhi Thay Hassas Bohat
Kuch Apnay Muqadar Rooth Gae,
Kuch Tum Ko Sach Se Nafrat thi,
Kuch Hum Se Na Bolay Jhoot Gae,
Kuch Loogo Ne Uksaya Tumhay
Kuch Apne Muqadar Rooth Gae,
Kuch Khud Itnay Mohtaat Na Thay
Kuch Log Bhi Hum Ko Loot Gaye,
Kuch Talkh Haqaiq Thay Itnay
K Khwab Hi Saray Toot Gaye

Mila Nahi Or Bichar Gaya

Mery Gosha-E-Fiqar Mein Meri Jaan Sy B Aziz Tar..!!
Aisa B Aik Shakhs Tha, Jo Mila Nahi Or Bichar Gaya..!!

Tumhari Aankh Ki Dehleez

Tumhari Aankh Ki Dehleez Par Thehra Hua Aik Ansu,
Kay Jese Tumne Palkon Se Samandar Baandh Rakha Ho.

Karta To Hai Wo Yaad

Karta To Hai Wo Yaad Mujhe Chaahat Se Magar….!!!

!!!…Hota Hai Ye Kamaal Bari Muddaton Ke Baad...!!!

Muhabbat Main Lutaanay Ko

Yeh Tum Say Kah Diya Kis Ney K Baazi Haar Baithay Hum. .??
Muhabbat Main Lutaanay Ko Abhi Tou Jaan Baaki Hai . . . !

NikaL He Aati Hai

NikaL He Aati Hai, Kahin Na Kahin Se Gunja’ish..
Koi Bhi Pyaar, Kisi Ka, Aakhri Naheen Hota…!!

Muhabbat Kar To Li Hum Ne

Muhabbat Kar To Li Hum Ne,
Mohabbat Paa Nahi Saktay..
Bohat Kehnay Ki Khuwaish Hai,
Magar Bata Nahi Saktay..
Teri Baatainn, Teri Yaadein,
Humara Dil Dukhatay Hai.
Bohat Takleef Hoti Hai,
Tujhe Sunaa Nahi Saktay.
Teray Sath Chalna Hai,
Teri Manzil Bhi Banna Hai.
Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagay Ja Nahi Saktay.
Suno Hum Toot Jayenge.
Humain Kaisay Sametogay?
Kay Marr K Bi Meri JAAN.
Tujhe Bhula Nahi Saktay....

Tumhein Sochtay Rahay

Mausam Tha Khush-Gawaar Tumhein Sochtay Rahay
Kal Raat Baar Baar Tumhain Sochtey Rahey
Barish Hui To Ghar K Dareechey Se Lag K Hum
Chup Chaap Sogwaar Tumhein Sochtey Rahey.

Har Baat K Us Ki Hain Kai So So Matlab

Har Baat K Us Ki Hain Kai So So Matlab
Woh Baat To Karta hai wazahat nhi krta
Main Uss Kay Liye Saray Zamanay Say Lari Hun
Wo Shakhs Jo Khud Se Bhi Bagawat Nahi Krta

Na Jaago Raat Bhar 'Mohsin'

Na Jaago Raat Bhar 'Mohsin', Meri Maano Tou So Jao,
Yeh Khuwabeeda Nazar Kal Phir Kisi Ko Maar Daalay Gi...!

Ehsaas Na Kar In Jazboon Ka

Ehsaas Na Kar In Jazboon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin,
Jeena Bhi Mujhay Dushwar Lagay, Itna Tou Nazar-Andaz Na Kar.

Wo Baharon Main Zara Kam Hi Mila Karta Hai

Jab Uska Dard Meray Sath Wafa Karta Hai,
Ik Samandar Meri Aankhon Say Baha Karta Hai,

Uski Baatain Mujhy Khushbu Ki Tarha Lagti Hain,
Phool Jaisay Koi Sehra Main Khila Karta Hai,
...
Meray Dost Ki Pehchaan Yehi Kafi Hai,
Wo Har Shakhs Ko Danista Khafa Karta Hai,

Jab Khizaa'n Aai Tou Lout Aye Ga Khud Hi Faraz,
Wo Baharon Main Zara Kam Hi Mila Karta Hai...

Chaar Din Ki Chandni

Sabhi Chaar Din Ki Chandni, Ye Amartainn, Ye Wazaartain
Mujhe Uss ''Fakeer'' Ki Shaan Day Kay Zamana Jis Ki Misaal Day

Dard-e-Mohabbat Kay Qissay

Ye Dard-e-Mohabbat Kay Qissay,
Ye Tarz-e-Taghaful Kay Shikway,
Tm Ro Kay Zuban Par Latay Ho,
Hum Hans Kay Guzara Kartain Hain.

Dard Hamaray Jigar Main Hai

Khaanjar Chalay Kisi Pay Taraptay Hain Hum
Sare Jahan Ka Dard Hamaray Jigar Main Hai.

Tumhain Taqseem Kar Day Ga

Tumhain Taqseem Kar Day Ga Yeh Har Ik Dil Main Ghar Karna..
Tum Ab Ki Baar Yoon Kar Lo, Kay Bus Meray Hi Ho Jaao..!!!!

Bohat Masroof Ho Shayad

Zamanay Bhar Kay Kaamon Mein
Bohat Masroof Ho Shayad

Humari Yaad Bhi Ab Tou
Tumhein Kam Kam Satati Hy

Humara Naam Bhi Aksar
Tumhein Ab Bhool Jata Hy

Tumhari Aankh Ko Ab Tou
Koi Sapna Nahi Dikhta

Tumhary Dil Ko Bhi Ab Tou
Koi Chehra Nahi Jachta

Tumhara Naam Lete Thay
Jo Har Saans Kay Humraah

Jisey Tum Dil Ki Har Dharkan
Ki Tarha Yaad Rakhty Thay

Usi Ko Bhool Jane Ka
YeHi Matlab Hua Na Phir?

Zamanay Bhar Kay Kaamon Mein
Bohat Masroof Ho Shayad ! ! !

Aey Ishq. .

Aey Ishq Aa kay Phir Say Koi Tajarba Karain..
Main Bhoolnay Laga Hun Purani Kahanian..

NAFRATON K RASTY PE NA SAFAR KERNA

SUNO! ZINDAGI APNI HANS KER BASAR KERNA..
NAFRATON K RASTY PE NA SAFAR KERNA..

SUNO! WAFA NA HO TOU MUHABBAT ADHORI HY..
MUHABBAT K SAFAR MEN WAFA KI FIKAR KERNA..

SUNO! ZAMANA JITNA B HO HAMDARD TUMHARA..
ZAMANAY KO NA SHARIK-E-SAFAR KERNA..

SUNO! MUHABBAT HER KISI KA MUQADAR NAHI HOTI..
MIL JAYE JO MUHABBAT T0U IS KI QADAR KERNA..

Bata mera Gunah kya hy


Kabhi Ulfat Bhara Lehja, Kabhi Utra hua Chehra...
Samjh Mein kuch Nhi Aata, bata mera Gunah kya hy...?

Meri Uljhan Mita to dy, Mujhy Itna bata to dy...
Main Mujrim hun, ya Mehram hun, Saza Kya hy, Jazaa Kya hy...?

Meri Sansain to Chalti Hain, teri Yadon Sy Aey Humdum...
Nhi Fursat k yeh Sochoon, Fanaa kya hy, Baqaa Kya hy....?

Mera ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, ye Sab,,
Ye Sab kuch Naam Tery hy, Bata Peechay Bacha Kya hy?

SaFar-E-WaFa


SaFar-E-WaFa ki rah main manzil jafa ki thi,
Kagaz ka ghar bna k bhi,
khwahish hawa ki thi,
Thi jugnuon k shehr main taron say dushmani,
Mashooq chaand tha aur tamana subha ki thi,
Tum ne tu ibadat ka tamasha bna diya,
Chahat namaz ki thi per aadat kaza ki thi,
Main ne to zindagi ko teray naam likha tha,
Shayd magr kuch aur hi marzi khuda ki thi,
Dard hi dena tha to pehly bta daitay,
Hum ko bhi azal say hi tamana saza ki thi.

Sunday, 4 September 2011

Wo Mera Hai Yeh Tou Saari Dunia Janti Hai Magar,,


Wo Mera Hai Yeh Tou Saari Dunia Janti Hai Magar,
Wo Khud Is Baat Ki Tasdeeq Kyun Nahi Karta....!

Mujhay Tm Sy Mohabbat Ha..!


Mohabbat Khouf Hoti Hai

Kbhi Nadan Krti He
Kbhi Heran Krti He
Mujhe Maloom Hai Shaid
Boht Nuksan Krti He
Ye Ghar Weeran Karti Hai
Jaha Hon Ronaqin Zinda
Wo Dil Sunsan Krti He
Mgr Ab Sun Mere Humdam

Mujhe Krni Mohabbat He

Mohabbat Wo Haqeqt He
Ju Dil Abaad Karti He
Sbhi Ko Shad Krti He
Marron Ko Yad Krti He
Mohabbat Khof Kb Se He
Mohabbat Rog Kb Se He
Ye Marhm He Maseha Ka
Ye Depak He Paretm Ka
Chalo Acha Hua Jana
Gaya Mai Jan Ye Jana

Suno Phr Ghor Sy Jana
"Mujhay Tm Sy Mohabbat He"
"Mohabbat Tum Sy Hi Krni He"

Ye Syaah Raat, Ye Aawargi Ye Neend Ka Bojh

Ye Syaah Raat, Ye Aawargi Ye Neend Ka Bojh,
Main Apnay Sheher Main Hota Tou Ghar Chala Jata....!

Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi...!

Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi,Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?

Tjhe Yad Krna Mzaaq Tha,Tjhe Bhool Jana Azab Hai
Ye Saza Hai Jurm-e-Firaaq Ki, Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?

Tere Saath Hai Jo Teri Ana,Mere Saath Mera Naseeb Hy
Mujhe Tujh Se Kesi Shikaytein,Tujhe Khud Pe Itna Ghuroor Kya?

Ye Tmhara Chehra Kitab Hai,Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
Zara Baat Saada Likha Karo,Ye Muhawron Ki Satoor Kya?

Saturday, 3 September 2011

SirF AiK LarKi Hoon..!


SirF AiK LarKi….

Apnay Sard Kamray Main
Main Udaas Bethi Hoon
Neem-Wa-Dareechon Say...
Num Hawaein Aati Hain
Merey Jism Ko Chhuu Kar
Aag See Lagati Hain
Tera Naam Ley Ley Kar
Mujhko Gudgudati Hain
Kaash Merey Parr Hotay
Terey Paass Urr Aati
Kaash Main Hawaa Hoti
Tujh Ko Chhuu Kay Laut Aaati
Main Nahi Magar Kuch Bhi…!!
Sung Dil Rawajon Kay
Aahni Hisaron Main
Umarr Qaid Ki Mulzim

Sirf Aik Larki Hoon…!!!

Aik Khuwaab Ho Kar Rah Gai Hai Rasm-e-Muhabat


Aik Khuwaab Ho Kar Rah Gai Hai Rasm-e-Muhabat..
Aik Weham Saa Hai Ab, Meray Saath Tum Bhi Thay....!

Friday, 2 September 2011

Main Ab Kay Lauti...!

Main Ab Kay Lauti Tou Sadiyon Ki Umar Laungi....
Kay Teray Saath Mujhay Mukhtasar Nahi Rehna...!!!

Log Chalay Jaatay Hein..

Raat Din Zair-e-Zameen Log Chalay Jaatay Hein..
Nahee'n Maloom Tah-e-Khak Tamasha Kiya Hai..

Aik Insaan Ka Milna...

Woh Kaisay Log They Ya Rabb Jinho Ney Paa Liya Tujhko...!
Humain Tou Ho Gaya Dushwaar Aik Insaan Ka Milna....!

Hum Aaj Bhi Hain Is Soch Mein Doobey Huay 'Mohsin'

Hum Aaj Bhi Hain Is Soch Mein Doobey Huay 'Mohsin'
Khud Say Kabhe Dunya Say Hain Roothey Huay 'Mohsin'

Dainay Kay Liye Us Ko, Jo Hum Nay Thay Sambhalay,
Woh Phool Kitaabon Main Hain Sookhey Huay 'Mohsin'

Woh Apni Jafaaon Main Kami Kuchh Tou Karain Aaj,
Ek Umer Hui Sheher Woh Chhoray Huey 'Mohsin'

Hum Ney Yeh Kaha Tha Kay Humein Pyar Hai Un Say
Hum Aaj Bhari Bazm Mein Jhootay Huay 'Mohsin'

Aaghosh Mein Un Ki Humain Rahat Jo Mili Hai
Hum Aaj Kuchh Ander Say Hain Tootey Huay 'Mohsin' ...!

Bus Yehi Na Kay Tarrap..!

Bus Yehi Na Kay Tarrap Kay Guzri Raat ,,
Tum Na Aaye To Kya Sahar Na Hui....?

Zaouq-e-Deed Mien Takleef Hai Sra Sar 'Mohsin'

Zaouq-e-Deed Mien Takleef Hai Sra Sar 'Mohsin'…
Achey Hain woh Log Jo Mohabbat Nhi Karte....!

Ajab Yeh Marhala Aya

Ajab Yeh Marhala Aya Kay Hijr-o-Qurb Yaksaa'n Hain,
Asar Ab Kuch Nahi Hota, Jafa Kar Lou, Wafa Kar Lou...!

Wo Apne Faidey,,

Wo Apne Faidey Ki Khatir Phir Aa Mile Thay Hum Se,
Hum Nadan Samjhe Ke Humari Duaon Mein Hai Asar BOHAT. . . . !

Tumhari Yaad Ka. . . !

Tere Galle Mein Jo Bahoon Ko Dhaal Rakte Hain
TUjhe Mananey Ka Kaisa Kamaal Rakte Hain

TUjhe Khabar Hai Tujhe Soochne Ki Khatir Hum
Buhat Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Sooch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikhah Uchaal Rakte Hain

Tumhare Baad Yeh Aadat Sii HOgai Apni
Bikhartey Sookhte Pathe Sambhaal Rakte Hain

Khushi Sii Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
Soo Jan Bhooj Ke Dil Ko Nidhaal Rakte Hain

Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans Ke Dekh Laite Hain
Kabhi Kabhi Mera Behadh Khayaal Rakte Hain

Tumhare Hijhar Mein Yeh Haal Hogaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sambhaal

Rakte Hain Khushi Mile Toh Tere Baad Khush Nahi Hote
Hum Apni Ankh Mein Har Dum Malaal Rakte Hain

Zamane Bar Se Baachah Kar Woh Apne Anchal Mein
Mere Wajood Ke Tukkre Sambhaal Rakte Hain

Kuch Iss Liye Bhi Toh Be haal Hogaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behad Khayaal Rakte hain.....!

Phir Wafaiyein Bhi Karo ..!

Phir Wafaiyein Bhi Karo Gay To Koi Poochay Ga Na Tumsay...
Ye Teray Saaray Sitam Faqat Meray Marr Janay Tak Hi Hain...!!!

Tum Ko Is Se Kya?

Tooti hai meri neeNd magar tumko is se kya?
Bajte raheN hawaaoN se dar, tumko is se kya?


Tum mauj mauj misl E sabaa ghoomte raho
Kat jayeN meri soch ke par, tumko is se kya?


AuroN ka haath thaamo, unheN raasta dikhaao
Main bhool jaooN apna hi ghar, tumko is se kya?


Abr E gurez paa ko barasne se kya gharaz
Seepi meN ban na payeN gohar tumko is se kya?


Le jayeN mujhko maal E Ghanimat ke saath udu
Tum ne to daal di hai sipar, tumko is se kya?


Tumne to thak ke dasht meN khiime laga liye
Tanha kaTe kisi ka safar, tumko is se kya?

Shiddat-e-Gham. . .!

Shiddat-e-Ghum Ko Tabassum Main Chupanay Walon
Dil Ka Har Zakhum Nigaahon Se Bayaan Hota Hai. . . !

Meri Tanhai Ka...!

Lo Aaj Phir Ronay Laga Hai Aasmaan Ban Kay Baarish,
Aaj Phir Us Ko Ehsaas Hua Hai Meri Tanhai Ka. . . .!

Yeh Meri Umer, Meray Maah_o_Saal Dey Us Ko

Yeh Meri Umer, Meray Maah_o_Saal Dey Us Ko,
Meray KHUDA Meray Dukh Say Nikaal Dey Us Ko....

Aansu Nikal Paray...!

Aansoo Nikal Paray Tou Teri Laaj Rah Gaai,,
Izhar-E-Gham Ka Warna Saleeqa Na Tha Mujhay.....!

Shikast-e-Dil Pay Bohot Dair Tak Main Hansta Raha

Shikast-e-Dil Pay Bohot Dair Tak Main Hansta Raha,
Wo Haadsa Tha Keh Aansoo Bhi Saath Dey Na Sakay...!

Aaien Gi Duur Duur Say Yaadon Ki Toliyaan

Aaien Gi Duur Duur Say Yaadon Ki Toliyaan,
Hum Dil Ki Dharkanon Ka Wo Mela Lagaien Gay...!

Yeh Kahan Pohnch Gaye Hum...!

Na Tou Hosh Say Ta'arruf, Na JunuuN Say Aashnaaii,
Yeah Kahaan Pohnch Gaye Hum, Teri Bazm Say Nikal Kay...

Tashnagi ..!

Tashnagi Kay Bhi Muqamaat Hain Kya Kya,,
Kabhi Dariya Nahi Kafi, Kabhi Qatra Hai Bohot

Tum Se Mumkin Ho Tou Phir Rok Do Saansen Meri. ..

Tum Se Mumkin Ho Tou Phir Rok Do Saansen Meri……
Dil Jo Dharkay Ga Tou Phir Yaad Tou Tum Aao Gay...!

Muhabat Nahi Mujhay. . . !

Iqraar Hi Ki Khaas Zarurat Nahi Mujhay,
Inkaar Say Kabhi Koi Aziyyat Nahi Mujhay,
Alfaaz Chahay Jaisay Hon, Andaaz Ho Hansi,
Tum Muskura Kay Keh Do "Muhabat Nahi Mujhay"

Ab Kay Agar Laga Dil Tou Sirf Dil Lagi Ho Gi. . .

Ab Kay Agar Laga Dil Tou Sirf Dil Lagi Ho Gi,
Hum Tum Pay Apni Mohabbat Tamam Kar Baithay...!

Meray Dil Kay Aainay Main

Kis Nay Kaha Tha Kay Anjaan Ban Kay Aya Kar,
Meray Dil Kay Aainay Main Mahman Ban Kay Aya Kar,
Ik Tujhay Hi Tou Bakhshi Hai Dil Ki Hakoomat,
Yeah Teri Saltanat Hai Tu Sultaan Ban Kay Aya Kar...!

Apno'n Ki Enayat

Munhasir Ehl-E-Sitam Per Hi Nahin Mohsin
Loog Apno’n Ki Anayat Se Bhi Mar Jatey Hain

Aankhain Bata Rahi Hain..!

Hum Bhi Shikasta Dil Hain Pareshaan Tum Bhi Ho,
Andar Say Reza Reza, Meri Jaan Tum Bhi Ho...!

Hum Bhi Hain Aik Ujray Shehar Ki Misaal
Aankhien Bata Rahi Hain Kay Veeran Tum Bhi Ho....!

Thursday, 1 September 2011

Ho Kar KHAFA Mujh Say...!

Apni Zaat Se Wabasta Kar Le Mujhay......!
Ho Kar KHAFA Mujh Say Yoon Na Meri JAAN Liya Kar..

Khawab Bhi Toot Kar Aansu Mein Beh Gaye Hain . . .

Khawab Bhi Toot Kar,Aansu Mein Beh Gaye Hain,
Ekk Bar Phir Se Hum, Tanha Reh Gaye Hain...!

Phir Pyar Kisay Tum Kehtay Ho??

Phir Pyar Kisay Tum Kehtay Ho???
Phir Pyar Kisay Tum Kehtay Ho???

Khamosh Zuban Kay Lafzon Main,
Kuch Posheeda Si Baaten Hain,
In Posheeda Si Baaton Main,
Kuch Chahat Ki Barsaaten Hain,
In Baaton Ko Hum Muddat Say,
Seenay Main Chupa Kay Baithay Hain,
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena,
Ye Pyar Main Humne Seekha Hai,
Suraj Main Chand Sitaron Main,
Her Shae Main Tumhi Ko Dekha Hai,
Dharkan Main Bhi Naghma Ban Kay,
Sagar Ki Tarah Tum Behtay Ho,

Ye Pyar Nahi Phir Tum Hi Kaho,
Phir Pyar Kisay Tum Kehtay Ho???

Dekhi Jo Nabz Meri Tou. . .

Dekhi Jo Nabz Meri Tou Chand Lamhay Soch Kar,
Kaaghaz Liya Aur Ishq Ka Bemaar Likh Diya...!

Qurbaan Kyun Na Jaun Main Aise Hakeem Per
Nuskhay Main Jis Nay Sharbat-e-Didaar Likh Diya...!!!!

Han Mujhay Rasm-e-Muhabbat ka Saleeqa Hi Nahin . . . !

Haan Mujhay Rasm-e-Muhabbat Ka Saleeqa Hi Nahin.....!
Ja Kisi Aur Ka Honay Ki Ijazat Hai Tujhay...!

Utho Sarfarosho...!

Utho Sarfarosho Pukara Hai Tumko,
Nigar-e-Watan Rang-o-Boo Maangti Hai,
Karo Aabyari Jigar Kay Lahoo Se,
Kay Dharti Watan Ki, Lahoo Mangti Hai.....!

Hum Say Muhabbaton Ki Numaaish Na Ho Saki . .

Hum Say Muhabbaton Ki Numaaish Na Ho Saki,
Bus Itna Jantay Hain, Tumhain Chahtay Hain Bohot...!

Mujh Say Bichar Kay

Mujh Say Bichar Kay Tu Bhi Rooye Ga Umer Bhar,
Ye Soch Lay Kay Main Bhi Teri Khuahishon Main Hun...!

Wo Hum Ko Bhool Baithay Hain . . .

Wo Hum Ko Bhool Baithay Hain, Nahin Hairat Hui Sun Kar
Wo Apni Aam Si Cheizain, Tou Aksar Bhool Jatay Hain...!

Kehtay Ho Kay Bichray, Koi Muddat Nahi Guzri.....!

Kehtay Ho Kay Bichray, Koi Muddat Nahi Guzri......!!!
Lagta Hai Kabhi Tum Nay Calendar Nahi Dekha......!!!

Best Eid Poetry! Hum Nay Tumhain Dekha Nahi, Tou Kia EID Manaain Hum Eid Poem

Hum Nay Tumhain Dekha Nahi, Tou Kia EID Manaain Hum ??
Jis Jis Nay Tumhain Dekha Ho Ga Usay EID Mubarak...!

best EId Poetry

Haya Aankhon Main Ho Tou...!

Haya Aankhon Main Ho Tou Parda Dil Ka Hi Kafi Hai 'FARAZ'
Warna Naqaabon Say Bhi Hotay Hain Isharay Muhabbat Kay...!

Poetry on Eid Ka Din Bhi...! EID POEMs

Eid Ka Din Bhi Shajr-e-Hijjr Ki Soorat Guzra
Dost Aya Naa Koi Naa Hi Tum Aye...!

EID poetry

Tum Hamaray Kisi Tarha Na Huay,,

Tum Hamaray Kisi Tarha Naa Huay
Warna Duniya Main Kiya Nahi Hota...!

Ujra Chehra, Bikhri Zulfain..!

Ujra Chehra Bikhari Zulfain Be’Jaan Ankhain Jaana.!
Mujhe Tu Tum Bhi Kisi Ki Chahat K Maqrooz Lagtay Hoo

EID poetry Aik Aur EID Poems

Aik Aur Eid Tujhay Daikhay Bina Guzri
Aik Baar Phir Dil Ko Samjha Liya Maine...!

EID poetry

Eid Poetry! Log Kehtay Hain EID aai Hai..! Poems

Log Kehty Hein Eid Aaee Hai....
Tum Jo Aao , Yaqeen Aa Jaye..

EID poetry

Chalay Aatay Tou...!

Eyaadat Rasm-E-Duniya Thi, Chaly Aatay To Kiya Hota,
Tumhary Pooch Lainay Say, Na Jee Uthtay Na Mar Jaty....!

Haal-e-Dil

Zara Si Baat Per Ankhein Bheego Kar Baith Jatay Ho
Tumhain To Hal-e-Dil Batlana Bhi Mushkil Hai

Kuch Dair Jo Tu Mujh SAy...!

Kuch Dair Jo Tu Mujh Say Katt Gai Thi
Mahevar Say Jaisay Zameen Hatt Gaai Thi....!

Ye Bhi Naya Sitam Hai..

Ye Bhi Naya Sitam Hai Kay Hina Tou Lagain Ghaair
Aur Woh Daad Chahain Mujh Ko Dikha Kay Haath...!

Jab Tu Yaad Aya..!

Baith Kar Saaya-e-Gul Main 'NASIR'
Hum Bohot Roye Jub Tu Yaad Aaya...!

Magar Bewafa

Kis Kadar Masoom , Kitni Shaukh Magar Bewafa
Hum Nay Pucha Kaun? Ghabra kay Bolay Zindagi...

Muhabbat Ka Khayal..!

Barbad Karnay Kay Aur Bhi Rastay Thay FaraZ
Na Janey Unhain Muhhabat Ka Hi Khayal Kyun Aya!

Bhool Jana Hai Mashghalla

Bhool Jana Hai Mashghala Tera
Yaad Rakhna Hamari Aadat Hai

Kuch Zakhm...!

Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti..

Main Kyun Karoon Dua

Mai kyun karoo dua kay use meri umar lag jaaye.....

Ho sakta hai aaj akhri din ho meri ZINDAGI ka.

Kaha Usnay, Kaha Maine..!

Kaha usne mujhpe itna bharosa na karna,

Kaha maine mohabbat me kabhi socha nahi karte

Kaha usne kisiko apna humafar bana lo,

Kaha maine jab tum ho to hum kuch dekha nahi karte

Kaha usne mai tum se agar door ho jaau to kya karoge?

Kaha maine faasle kabhi kisiko dil se mitayaa nahi karte

Kaha usne teri chahat tujhe ruswaiyaan degi

Kaha maine shoharat se hum ghabraya nahi karte,

Kaha usne tum mujhe bhul jaao,

Kaha maine, haatho ki lakeero ko mitaya nahi karte!!!

Dil Ka Dard Kis Say Kahain..!

Dil Ka Dard Kis Se Kahain, Durr Tak Koi Nahin Sirf Raat Hai,
Tu Nahin Tera Saaya Nahin Aur Na Hi Teri Parchai Hai,
Lamba Safar Hai Zindagi Ka Aur Mein Tanha,
Chalna Toh Hai Phir Bhi, Akelay Hi Sahi,
Shaayad Yunhi Chaltay Chaltay, Zindagi Kay Kisi Morr Par
Mujhe Bhi Meri Manzil Mil Jaaye,
Shaayad Yunhi Chaltay Chaltay, Zindagi Kay Kisi Morr Par
Mujhe Bhi Koi Dost Mil Jaaye,
Main Rahoon Na Rahoon, Tu Udaas Na Hona Aye Dost,
Mere Saath Toh Koi Bhi Na Tha,
Tere Saath Toh Phir Bhi Tera Humsafar Hai,
Mere Jaanay Kay Baad Mehfil Mein Aansoon Na Bahana,
Main To Aaj Bhi Teri Dhadkano Me Zinda Hoon ,
Log Toh Dewaane Hai Jo Kehtay Hain Kay Main Nahin Raha,
Mera Aks Toh Wahin Hai Jahaan Kal Tha,
Jism Mit Gaya Hai Toh Kya Hua,
Main To Wahin Hoon Jahaan Kal Tha...!

Subha Se Shaam Se Pehlay...!


Mujhe Har Kaam Se Pehle,
Sehar Se Shaam Se Pehle,
Yahi Aik Kaam Karna Hai,
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai,
Ke Jab Bhe Dard Pena Hai,
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai,
Gham -e-Duniya Se Ghabra Kar,
Mujhe Jab Jaam Lena Hai,
Tumara Naam Lena Hai,
Tum He Ko Yaad Karna Hai,
Tumari Yaad Hai Dil Mein,
Aik Sayaad Hai Dil Mein,
Koi Barbad Hai Dil Mein,
Issay Aabaad Karna Hai,
Tumhara Naam Lena Hai
Tumhi Ko Yaad Karna Hai....

Teri Yaadon Se Bach Nikloon..!

Teri Yaadon Se Bach Nikloon, Mujhay Tadbeer Day Koi,
Meri Jaanib Se Har Rasta, Teri Jaanib Nikalta Hai...!

Apni Jabee Pe Saja Lo,

Apni Jabeen Par Saja Lo Har Aik Pathar Ki Zarrb
Ishq Kar Baithay Ho Lazim Hai Saza Pao Gay...! 

Apnay Halaat Ka Bhi

 Apne Halaat Ka Bhi Ehsas Nahi Hai MujhKo 'Mohsin',
 Mainay Auron Se Suna Hai Kay Pareshaan Hoon Main...!

Auron Se Suna Hai..!

Apnay Halaat Ka Bhi Ehsaas Nahin Hai Mujh Ko 'Mohsin'
Maine Auron Se Suna Hai Kay Pareshaan Hoon Main..!

Bus Jee Rahay Hain

 Qissa-e-Gham-e-Hayaat Na Pucho Dost,,
  Bus Jee Rahay Hain To Samjho Kamal Ki Baat Hai....!

Qissa-e-Gham-e-Hayaat...!

Qissa-e-Gham-e-Hayaat Na Pucho Dost..!
Bus Jee Rahay Hain To Samjho Kamal Ki Baat Hai...!

Ussi Masoom Bachpan Ko...!

Chalo Phir Dhoond Laitay Hain
Ussi Masoom Bachpan Ko

Unhi Masoom Khushiyon Ko
Unhi Rangeen Lamhon Ko
Jahan Ghum Ka pata Na Tha
Jahan Dukh Ki Samajh Na Thi
Jahan Bus Muskurahat Thi
Baharain Hi Baharain Theen
Kay Jab Sawan Barasta Tha
Tou Us Kaghaz Ki Kashti Ko
Banana Aur Dubo Dena,
Bohot Acha Sa Lagta Tha,
Aur Is Duniya Ka Har Chehra,
Bohot Sacha Sa Lagta Tha,

Chalo Phir Dhoond Laitay Hain,
Ussi Masoom Bachpan Ko..!

Hum Aisi Muhabbat Kartay Hain..!

Hum Aisi Muhabbat Kartay Hain,
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho..!

Humain Thandak Raas Nahin Aati,
Humain Barsih Say Khauf Aata Hai,
Par Jab Say yeh Ma'aloom Hua,
Ye Mosam Tumko Bhaata Hai,
Ab Jab Bhi Saawan Aata Hai,
Baarsih Main Bheegtay Rehtay Hain,

Hum Aisi Muhabbat Kartay Hain,
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho..!